Mulank 2 k sath sabhi bhagya ankon ka sanyog - Mulank and Bhagyank Combination

Moolank - Bhagyank Sanyog


Moolank - Bhagyank Sanyog

Is sansaar mein sabhi vyakti apne bhavishya ko jaan-na chahte hain, isliye jab bhi humko waqt milta hai to hum aap sabhi ke liye kuch na kuch jankari lekar aate hain jisse aap apne jeevan ko samajh kar safal bana sakein. Aaj hum aapko moolank 2 ke saath 1 se lekar 9 bhagyank tak ke sabhi sanyogon ke baare mein bataayenge.


Moolank 2 aur Bhagyank 1

Agar aapka moolank 2 hai aur bhagyank 1 hai to aap zarur safal honge. Aapka vyaktitva raja jaisa hai aur aapki mansik shakti bhi bahut achhi hai jis wajah se aap jeevan ke adhikansh kaam mein safal honge. Aap jitne sakaratmak rahenge, aapke liye utna hi accha rahega. Jeevan mein koi bhi kaam karne se pehle aapko apne mann mein sakaratmak urja rakhni chahiye ki aap safal zarur honge.


Moolank 2 aur Bhagyank 2

Agar aapka moolank 2 hai aur bhagyank 2 hai to aapko apne career ke liye jal se sambandhit kaam chunna chahiye. Moolank aur bhagyank 2-2 ke kaaran agar aap jal se sambandhit kaam karte hain to aap bhagyashali rahenge. Is sanyog se aapko mansik sthirta mein thodi pareshaani ho sakti hai, lekin aap jeevan mein safal zarur honge. Poornima ki raat ko koi bhi kaam karne ke liye aapme adhik utsaah rahta hai.


Moolank 2 aur Bhagyank 3

Agar aapka moolank 2 hai aur bhagyank 3 hai to gupt vigyaan ka kshetra aapke liye bahut accha rahega. Aapko ank jyotish, jyotish, tarot jaise career ka chayan karna chahiye. Aapki ruchi bhi is kshetra mein adhik ho sakti hai. Aap gyaan se sambandhit kaam bhi kar sakte hain. Aap ek shikshak, salahkaar, business coach, ya prerak vakta ban sakte hain. Moolank 2 aur bhagyank 3 ka sanyog shubh sanyog mein aata hai.


Moolank 2 aur Bhagyank 4

Agar aapka moolank 2 hai aur bhagyank 4 hai to aapke jeevan mein mansik ashanti rahegi kyunki yeh dono ek doosre ke shatru ank hain. Ank 4 Rahu ka ank hai aur Chandrama par grahan lagane wala ank hota hai, isliye aapko mansik ashanti ka saamna karna pad sakta hai. Aapko shukl paksh ke Chandrama ko dekhna chahiye.


Moolank 2 aur Bhagyank 5

Agar aapka moolank 2 hai aur bhagyank 5 hai to aapke liye real estate, property deal waqtiyaadi se sambandhit kaam shubh sabit honge kyunki yeh dono prithvi tatva ke ank hain. Agar aapka moolank aur bhagyank ka sanyog yeh hai to aapke jeevan mein sthirta aayegi. Aap chhoti-chhoti samasyaon se bhramit nahi honge.


Moolank 2 aur Bhagyank 6

Agar aapka moolank 2 hai aur bhagyank 6 hai to jal aur media se sambandhit kaam mein safalta hasil kar sakte hain. Aap abhineta, gayak, lekhak, kavi, cameraman jaise kaamon se sambandhit ho sakte hain. Aapka vyaktitva bahut akarshak hai. Aapki ruchi bhi sundar aur luxury cheezon ki ore adhik rahegi.


Moolank 2 aur Bhagyank 7

Agar aapka moolank 2 hai aur bhagyank 7 hai to bhi aap gupt vidya se sambandhit kshetra mein safalta hasil kar sakte hain. Bachpan se hi aapko in cheezon mein ruchi rahegi aur aapki soch bhi bahut gehri hogi. Ank Jyotish, Jyotish aur Tarot aapke liye acche rahenge. Aap in sabhi cheezon mein expert ban sakte hain isliye aap chaahein to isme safalta hasil kar sakte hain.


Moolank 2 aur Bhagyank 8

Agar aapka moolank 2 hai aur bhagyank 8 hai to aapko apne jeevan mein kadi mehnat karni padegi aur mansik ashanti rahegi. Aapko swasthya sambandhi pareshaaniyon ka bhi saamna karna pad sakta hai. Aapko vaivahik jeevan mein bhi pareshaaniyan aayengi aur jeevan mein adhik mehnat ke baad safalta milegi.

Moolank 2 aur Bhagyank 9

Agar aapka moolank 2 hai aur bhagyank 9 hai to aapke vaivahik jeevan mein pareshaaniyan aana nischit hai. Aapko rishte sambhalne padenge anyatha kai pareshaaniyan hongi. Apne jeevansaathi ko samay dein aur rishte acche banaye rakhne ka prayaas zarur karein.

Post a Comment

0 Comments